Sunday, May 31, 2009

SHAIRI COLLECTION

SILSILE ASHKO KE JAB TOD DIYE JAATE HAI
KITNE TUFANO KE RUKH MOD DIYE JAATE HAI
DIL KE JAKHMO KO HUME YU BHI HARA RAKHNA HAI
SUKH JAATE HAI TO GUL TOD DIYE JAATE HAI


KITNE TUFAN UTHE ANKHO ME
NAAV YADON KI DUBTI HI NAHI
UNSE MILNE KI UNKO PAANE KI
KOI TARKEEB SUJHTI HI NAHI


NAHI HAI KOI BHI HUMDARD BADH KE ANKHO SE
JAB EK ROTI HAI TO DUSARI BHI ROTI HAI


MUJHKO GUNAHGAR KHAE AUR SAJA NA DE
ITNA BHI IKHTIYAR KISI KO KHUDA NA DE
DURI HUEE TO UNKE KARIB AUR HUM HUE
YE KAISE FAASLE THE JO BADHNE SE KUM HUE

No comments:

Post a Comment